Thursday, November 18, 2010

LETTER


Yun to har zamane mein kuch aise hastyan aur shaksyat moujood  han jo us zamane ko apna tor tareko se apna kirdar aur apni personality se badal dalte han aur logo pe itna gehra asar chortee han ke woh un ke ideal ban jate han  aur log unke nakshe kadam pe chalna shuru ho jate han.
Ise tarah mujhe bhe aik personality ne bhat inspire kya aur mein unke adaat ,chal chalan se be had mehzooz hui..Unke kirdar aur adat ne na sirf mujhe balke puree university ko unka girveeda bna rakha ha.
Unke personality mein kya kashish ha, kya khubsortee ha , ku log un ke taraf khencha jaten un sab baton ke bunyad un mein mojood maknateese aur jadooi qualities han jo un ko sb se munfarid kartee han.Mein ne kai bar un ke takreer sunee lehja,pronounciation , baat karna ka andaz sb se munfarid.Un ke zaban ke talafuz ke baat ke jai to angreeze aur urdu dono he ke talafuz mein ap koi galtee ni nikal sakte.Zban mein aise takat ke har insan jo kuch woh bolte han, kehta han tasleem karna par majboor ho jata ha.Kise ke majal ni kai ke koi un ke baaton ko galat sabit karske aur yahee unke baroob shaksyat ke zamanat ha.
Mene un ke personality pe ka research ke jise mujhe ye baat numayan hui ke who khasey asar o rasookh wale shakhsiyat han.Is baat ka andaza mujhe us wakt hota ha jab media ke baray baray directors aur aham rukan hamaree university ka visit kartay han.Mukhtalif saminar, cultural shows har jaga koi na koi media se wabasta shakhsiyat mojood hotee han.Aur ye sab is baat ka nateeja ha ke un ke baray level pe taulukat han.Aur ye taulukat kese banay ye un ke 70 sala zindagee ka nachoor han.Is zindagee mein woh media ke mukhtalif channels se wabasta rahe aur umar ke is hisa mein unho ne is university mein kam karna ko tarjeeh di take young generation ko bhe is ubhatay hui shoba mein age bharnay ka moka mla.
Mein ab unka salook aur rawaya bil khasoos university ke larkyon ke sath ke mutalik batana chahatee hun.Zban mein un ke behad methas ,aik Impressive andaz mein baat karna,kisee larkee se wabasta koi mushkelat us ka az khud notice lena aur larkyon ka koi event ho us ke organization mein aur us ke ahtamam mein jo kuch ho sakta ha puree apnee power ka istemal karta han.Jis se baat wazeh hotee ha ke woh apnee responsibilities ko khoob enjoy kartay han.
Unke azwajee aur ghareelo zindagee ke mutalik mein ne khatar khuwa koi research ni ke albata ye baat wazeh ha ke who bhat alaa character ke malik han jis ke jhalak na sirf unka chal chalan aur zban mein nazar ata ha balke un ke seerat aur islam ke taraf jhukao is baat ka aina daar ha.Un ke takreer mein ne sunee ha who har baat islam ke rooh se bolta han.Is ke elawa woh panctual han uni ke timings ke mutabik un ke garee ate ha aur exact 3 bje har kam nimta ke who ghar jatay han khane ka lya aur 4 bje evening shift ka lya wapas ata han.Dressing aisee lajawab ke mein behed impressed hun.Mukhtalif colours ke pant coat mein who malboos rehta han. Akhir mein mein is baat ke nishandahe karna chahtee hun ke unke personalty baise izat ehtaram ke ha.Jo koi un se milta ha be had impress ho kar jata ha.Mazak karna ke adat sb ko behad lobhatee ha.Aik hans mukh insan han woh dukh dard mein shareek hona walay aur staff ke sath be had impressive.Agar ap ko mouka mla ap bhe zaroor unsa milaya ga takay ap mera khyalat se mutafik hun aur un ke personality se mehzooz hon. 

No comments:

Post a Comment