Tuesday, November 16, 2010

DREAM COME TRUE

Ak insan jb is dunya mein janam leta ha to man bap us ka har tarah se khyal rakhne ke koshish karta han aur us ke har zaroryat ko pora karte han.Jese jese woh bara hota jata ha wesa wesa us ke sochon ka sailab barhta chala jata ha aur woh sochta ha ke us ka is dunya mein ana ka maksad kya ha aur woh us ka mutabik apna khuwab sajata ha.Woh har chez ka bare mein planning karta ha ke usa kya karna ha, keisa karna ha, ku karna ha, kb karna ha.Har insan yun to aik he khuwab sajata ha ke wo aik bara insan bnega aur is dunya ko sawarne ka lya khub jidojhad karega ise mehnat mein us ke kuch khuwab sajte han aur kuch shesha ke tarah tot jate han ku ke ya baat to sabit ha ke yahan insan sochta ha aur uper Khuda Talla aur jo qudrat chahte ha wohe hota ha chai insan ktne bhe koshish karle aur jo khuda sochta ha who behtar he sochta ha.
Zindage ke is dor men mein na bhe mukhtalif khuwab sajai bhat se khuwab khuda ka karam se pora hui aur bhat se bekhare barahal meina usa khuda ke maslehat samajh ke kabol karlya.Inhe khuwbo mein se aik aisa khuwab jo mere anthak mehnat aur kawisho aur khuda talla ke marzi ka nateeja tha who Mass communication mein masters karna tha.Mein bchpan he se is field se bhat mehzoz the.Mein mukhtalif channels pe drama,producers aur directors ko mlna wale awards aur film drama industry se bhat inspire the.Inhe mein se kuch log maslan AMJAD ISLAM AMJAD aur HASEENA MOIN ke tehreer karda drama se mera bhat lagao tha.Meina ye khuwab saja rakha tha ke mein bara ho kar inhe ke tarah mehnat se shuhrat ke bulandyon tak puhunchoge.
Ise  khuwab ke hasool ka lya meina anthak mehnat shuru kardi  aur bhat ache number se metric pas kya.Us ke bad meina gharwolo aur dosto se apna is khuab aur pasand ka mutalik btaya jis ko mera papa ne bhat sarhaya aur unho ne mujhe mashwara dya ke inter karlo uska bad B.A karke phr Mass communication jo aik ubhrta huwa field ha us mein masters karlena.Ab mera maksad yahe tha ke mein apna target ko hasil karlun.Meina 2nd year ache number se pas kya aur phr private BA ka imtehan dya un ka nataij ana ka bad mujhe taslee hogai ke meina aik sangemeel to abor kya.
Ab koshish ye the ke aik ache university ka intekhab.Malumat ke bad maloom huwa ke do universities Karachi mein Mass Com ke master ke degree dete han jin mein Karachi university aur Jinnah university sar e fehrist the.Ghar walo ke mashaware ke bad meina Jinnah university ko tarjeh di jo infact mera ghar se kareeb the.Ab mein Mass communication (Jinnah University)ke talba hun aur chahte hunk e jald se jald taleem mukamal karke is field mein kadam rakhun aur shuhrat hasil karun.Is ka lya bhe meina mukhtalif khuwab saja rakhe hein jin ko mein yun byan karte hun ke mein sirf aik ache writer drama ke had tak nahe balke pura Pakistani media pe apne sakht kaim karna chahte hun ise murad mera ye ke mein chahte hun ke behind the scene ka elawa on air bhe kam karun.Muashra mein mukhtalif kharabyon ko logon ka samne laon.Har chote bat jo is muashra mein panaptee ha aur ise barbad karne mein apna role ada karte ha use target bnoa hakaik ke zaraya.Na sirf itna balke akhbaro mein kitabo mein media mein infact har jaga apne khyalat ko paish karna chahte hun take log mera tehreer kerda ya kalam band hona wale har baat se inspire ho kar un baton ko muashare se khatam Karen.
Basically mera ye khuwab jo inshallah mujhe hakeekat mein bdalta nazar araha ha us ka maksad yahe tha ke muashare ko urai se pak karna aur awam ul naas ko un ke is dunya mein ane ka maksad ko apna kalam ke takat se byan karna take log Khuda Pak aur Nab e Kareem (SAAW) ke taleemat ke mutabik zindage guzaren.   

No comments:

Post a Comment