Monday, November 15, 2010

AJ BHE SHADI KAL BHE SHADI

AJ BHE SHADI KAL BHE SHADI
Kehta han ke jore asmano pe bante han infact ye bat 100% durust ha ke jab insane is ka janam hota ha use wakt khuda talla us ka is dunya mein umar bhar ke jeewan sathe ka nam uska sath munsalik kardeita han.Ye dunya ka aik bhat zabardast asool ha ke mard aurat ke bger aur aurat mard ke bger ge ni skater ise waja se khuda talla ne in ka darmyan attraction rakhe ha aur apne pas har insane ke  joryan set kar rakhe han.
Pechle dino Geo pe aik baree dilchasp aur ajeeb se khabar nashar hui.Mujhe is khabar pe hairat bhe hui aur ajeeb sa be feel huwa ke pata ni ku log aisa karta hein.Barahal khabar jo Geo news pe nashar hui kuch yun the ke aik larka ne aik din aik larkee se shadi ke aur agle roz dosree larkee se shadi karle matlab do din mein do shadyan.Pehle to meina socha ke hosakta ha ke us larki mein naks ho par tafseeli khabar se maloom huwa ke woh 3 apas mein jigree dost the matlab woh dono larkyan aur who larka apas mein bhat pake dost the aur un ka apas mein aik dosre se juda rehna na mumkin tha. Aur hairat ke baat to ye ke unka ghar wale bhe is shadi se razamand the.Hairat ha barahal yahe sachai the aur kse ne un ke shadi pe koi aitraz ni kya aur ye shadi paya takmeel pe puhanche.Is mein kya galat tha kya theek tha aur inke shadi ktne fieesad kamyab rahege is pe mein roshni dalunge aur ye bhe bayan karunge ke aya ye faisla drust tha ya galat.

Ak aurat zaat hona ke natey mein larkee he ke side lunge ku mein jantee hun ke larkay doo(2) shadyan karta han to bhat nuksan uthana parta ha larka aur larkee dono ko islya sb se pehla mein do biwyon ke concept ko samne lana chahtee hun ke is se kya kya rukawaten aur masail hail hosakta hain.Awal to ye shadi larka larkee aur teeno ke marzi ke mutabik he hui par is stage pe in ko un masail ka elam ni hota par jeesa jeesa wo zindagee ka is dor mein dakhil hota han to unko andaza hota chala jata ke kitne rukawte hail hotee han.

Pehle jo basic baat mard apne dono biwyon ko barabar ka time nahe dasakta matlab ke dono ka jaiz hak.Khuda talla ne 4 biwyon ka ahkam to jaree kya ha is ka sath sath ye bhe farmaya ha ke un sb ka sath brabre ka salook karo aur unko unka jaiz hak do.Amoman hamare muashre mein ye bat aam ha ke mard ke do biwiyan ho to who un dono ko time ni da pata barabar ka matlab aik biwi ka lya had se tajawaz kar bethta ha aur usa is bat ka andaza ni hota ke dosri biwi ka hak mara jar aha ha aur is ka amoman ye result nikalta ha aik biwi yap hr mard se talak lelatee ha ya meeka dor ate ha yane aik rishta khatam aur phr mard aik biwi ka hokar rah jata ha jis ka nuksan us biwi ko uthana parta ha jis ne us mard ka lya apni zindage barbad kardi.Is dunya mein bhat se auraten is amal ka shekar hote han aur apni zindage ko barbad kar bethte han.Shuru mein to un ko shadi ka charm nazar ata ha par wakt ke sath un ko apni is zindage se chirr hona lagte ha jab who apne mard ka salook dakhtee han.

Jahan tak amlee zindagee ka tauluk ha wahan biwyon se hona wale bache be is masle ka shekar hote han.Un pe bhe is amal ka bura asar parta ha jab un ka bap apna dono tarfa bahon ko time ni da pata aur aurat jhagra kartee ha aur aik bura asar bachoon ka damage pe naksh hota ha jise bache apne bap ke mukhalif ho jate han.Kuch mard is sorat mein apne dono biwiyon ko alag ghar mein rkhta han par ye bhe masle ka koi hal ni nuksan is sorat mein bhe do tarfa uthana parta ha.

Yahe hal us larkee ka sath bhe ho sakta ha jis ne dostee yari ka nate abhe to apni soukan ko accept karlya par age is taveel zindage mein jhan bhat se masail lamha ba lamha hail rehta hain,kya who is cheez ko bardasht kar paige har giz nahe aur woh bhe aur larkyon ke tarah apne zindage ko barbad kar bethege.Is tarah ke faisalon se pehla aurat ko har baat pe gor karna chai kyun ke ise mard ko koi zayada nuksan ni hota sawai aik zehnee dabao ke sb kuch aurat he ko sehna parta ha.Jald bazee ka kam shetan ka hota ha aur beshtar larkyan is jald bazee ka shekar ho kar apni zindgion ko dao pe laga bethte han.
Akhir mein mein mandarja bala hakaik ke bunyad pe is bat ko wazeh kardun ke ya faisla 2 shadyon ka aur yake bad deegra do shadi ka faisla sarasar galt tha.Hosakta ha pehle shadi ke 3 ya 4sal ke bad who use shadi karta to kuch ban bhe jatee par abhee ya aik ghate ka soda ka elawa kuch ni.Shukhar ha is bat ka ke dono ka ghar wale is faisla pe razamand the warna dono khandano mein larai ka aik alag dor chal parta.    

No comments:

Post a Comment