Wednesday, November 24, 2010

EVENT OF BS FINAL YEAR
COLOURS OF PAKISTAN
Hamaree uni mein bhat se events har saal munakad hota han aur har baar media se wabasta mukhtalif shakhsyat hamare in events mein mehmanekhasoose ke tor pe bulai jatee han.In mukhtalif events mein kabil e zikar jo events munakad hota han un mein mukhtalif saminar jin mein media ya kse aur field se wabasta shakhsyat takreer karka talba ko muktalif malomat faraham kartee ha,is ke elawa cultural shows,students week mukhtalif kisam ke mela,eid milan parties kabila zikar han.
Inhe sab events mein mah e September mein BS final year ka aik event Pakistani sakafat pe munakad kya gaya jin ke organizers BS ke talabaat theen.Media ke aham aur maroof shakhsyat ne is mein hisa lya aur talabaat ke kabil e deed mehnat ko saraha.In mashoor shaksyat mein SHAKIL SADDIQI,TABINDA LARII ,ANELA SHELA ke elawa aur bhe media ke logon ne shirkat ke.
Is event ka silsala mein khasoosi tor pe shamyane lagae gae aur ranga rang takreebat ke inekad ka lya khoob sajaya gaya.BS ke talbaat ne is cultural event ke kamyabee ka lya bharpoor tyari aur anthak mehnat mein koi kasar na choree.Is event ka timings 10 se 3 bje tak ka tha.Media ke members ke amad wakt ke mutabik shuru hui.Is sekaftee event mein BS ke talabat ne 4 sobon ke sakafat ke model tyar karke rakha the jo Sindh Punjab Balochistan aur Pakhtoon Khuwan ke rehan sehan ,dressings ke ain aina dar the aur unho ne bharpoor  tareke se models ko paish kya.In sab ke bech mein aik model modern Pakistan ka bhe tyar kya gaya jo is baat ko wazeh karaha tha ke Pakistan in future kesa hoga.Ya model Pakistan ke past, present aur future ka muwazna karaha tha.Bhat se media ka logon ne isa bhat saraha aur bhat se uni ke larkyon ko jinhe dawat e aam the, ye model un ka tawajo ka markaz bna raha.
Media ke logon ke elawa Vice Chancellor bhe is event ka visit ka lya tashreef lai unhon ne larkyon ke mehnat ko bhat saraha aur un ke mehnat pe daad de aur un ko future mein bhe aisa events ka ahtamam karna ke hadayat di.Aur sath mein ye orders be jare kya ke jo bhe lagoo hona wale peca han woh university ke funds se dya jain.
Akhir mein refreshments ka intezam bhe kya gaya .Khane pena ka mukhtalif items rakhe gai.Visitors kafee mutasir thay is event se.
Mein is baat ke nishandahe karna chatee hun ka in events ka inekaad lazmi ha ise talbaat ke hunar aur creativity ka andaza hota ha aur jis shoba se who wabasta ho us ke maloomat mein izawafa hota ha jab woh aise models tyar karta ha aur un ke bunyaad pe research work karta ha.Is mein BS final year ke teachers ka bhe aham roll ha jo students ko aise kam assign kartee han take unke salahayatoon mein bharpoor izafa ho.Personally jab mein ne is ka visit kya to is art work, creativity se mein bhe bhat mutasir hui.

No comments:

Post a Comment