Thursday, September 30, 2010

Salab Zadgan jo Karachi ai hui han un ka lya kya karna chai?

Aik quom pe us wakt Khuda Talla azab nazil karta ha jb us ka kartoot aur adat mein burai ka ansar numayan hona lagta ha. Muktalif quomo pe mukhtalif qisam ka azab nazil kya gai ye silsla zamana qadeem se chalta chala araha aur yahe baat hai ke quom ko raherast pe lane ka lya ye azaab  elahe bheja jate rahe ye Adam aur Hawa ke kotahe aur noah ka Quom ke azab se halya wakt tak muktalif tarika se nazil hota rahe.
Kuch din pehla Pakistan ke muktalif azla mein is tarah ka aik azaab manzar-e-aam pe aya. Selab ka aik musasal rala Punjab aur Sindh ka muktalif azla ko bhamboor bna gaya hansate baste alake kahandrat mein bdal gai.Wasee paimane pe jani aur mali nuksan huwa mukhtlif log mukhtalif alako mein hijrat kar gai , apni jan ke hifazat ka lya.
Aisa he kuch log Sindh ka muktalif se Karachi hijrat kargai ya be yaro madadgar Pakistani apna hansate baste ghar jo tez salab ke nazar ho gai khula Asman ka necha madad ka lya pukarna lage. Aise mushkil ke ghari mein pure quom ne yakja ho ka apna bhayon ke dil khol ka imdad di.
Aik Karachi ka bashinda aur musalman ke haisyat se hame apna bhayon ka bare mein sochna chai aur unka lya dil kahol ka taavun karna chai.
Phela aikdam jo Karachi ke government ko uthana lazmi ha woh ye hai ke ana wale salab zadgan ke registeration ka kam.Matlab ka jo afrad ai woh apni shanakht hakomat ko da take hakomat un ka sath bharpoor tawun kare.Registeration ka is kam se aik to dashat gardi ke rok tham mein madad mla ge dosri bt khordo nosh ka saman matlooba logon tak puhanchana asan ho jaiga aur kise ke badamni ke fizah pe kaboo pa lya jaiga.
Dosra farz ya ha ke salab zadgan ko chat muhaya karna take wo aur un ka bache sakht sardi garmi ya barisho ke halat mein apna ap ko mahfooz samjha.Karachi ka Mukhtalif alako ka kahali makanat aur  government school mein chute da kar salab zadgan ko chat muhaya ke jaija jahan unhe nahane aur bawarchi kahane ke sholat sa arasta kya jai . Karachi mein rehna wale jin logo ka rishtedar is halat ka shikar hui unhe chai ke who unhe apna gharo mein jaga den.
Chat muhaya karna ke bad teesri zorarat khane pena ke zarori ashya un ko faraham karna.Un ko khana pena ke ashya dana take un ka teen time peit bharjai.Is ka lya zaoori ha ke zimadar afrad jo haqeeqatan apni zimadari ko samajhte hui ,ka woh Khuda ke rah mein ya kam karahe han, mukhtalif camp lagain aur unhe ashya wakt pe farahem Karen.
Khana ke khurdo nosh ka sath sath peena ka saf pani salb zadgan ko muhaya karna.Saf pani  unhe har bemari se mahffoz rakhengeaur wo tandrust rahenga.Is ka lya saf paani ke company ko jo saf pani ka karobar se munslik han unha bharpoor tawun karte hui salab zadgan ko peena ke botalen roz mara ke bunyad pe faraham Karen.
Chotha pehloo un ke sehat o tandrosti ka khyal ha ke un mein koi bemari janam na le aur farogh na pai ise na sirf wo log mutasir hunga balke bemari phail ke Karachi ka logon mein muntakil ho kar wabai amraz ke shakal akhtyar kar jaige.Is ka lya Karachi ke government ko har aleka ka lya doctors ke team tashkeel daine jo us alake ka salab zadgan ke bemaryon ka khyal rakhen aur khatarnak bermi ka alamat zahar hota he us makhsoos insan ko alaihada jaga muntakil karka us ka ailj kya jai take bake tamam log muzar bemari se mahfooz rahen .
Agla akdam jo Karachi ke government ko uthana lazmi ha woh mukhtalif team ke tashkeel ha.Ye team mukhtalif alke mein salab zadgan ke hifazat sath sath is bat ke monitoring karege ke badamni afra tafree na pehle ,salabzadgan aur un alake ke bashindo ka darmyan, aur woh un ka khane pena ke farahmi ka khyal rakhen ke jo chezain muhaya ke jain un ko wakt pe aur registered logo mein bante.
Aik Karachi ka bashinda hona ka nate har makhsoos fard ka ya farz ha ke woh akhlake aitebar se apna rawaya salab zadgan ka sath theek rakhe aur dostana mahool qaim rakhe take un ka zakham madham par jain aur unki khushe ka har tarah se kahyal rakhen.Wakfe wakfe se un ka camp jain aur unse unke zarorat ka mutalik puchen tke bahami hamdardi ka jazba paida ho.
Ab ye sawal paida hota hai ke salab zadgan ke kya zimadari ha.Unhe chai ke wo aman o aman kaim rakhen kise tarsah ke bdamni ka mahol paida na Karen.Sabar kkaren aur jb hakomat unka alako men chaat aur degar saholat farm karda to woh apne alako ko Koch Karen.
Akher mein aik baat waseh rehe ke bure wakt kabhe bhe kise wakt kise par be toot sakta ha is lya koshish ke jai ke bhami bhaichare ko froog daite hui apne bhaiyon ke bharpoor imdad Karen teke wo jald se jald apne alako mein ja kar khushe se zindage basar Karen. 

No comments:

Post a Comment