Thursday, September 30, 2010

Mein Na MassCom ku leya?

Mein na B.A kya huwa tha aur mujhe mazeed parhna ke justojoo hui ,ise bunyad pe mein ne apna mustakbil ka mutalik sochna shuru kardya. Parhai ka hasool zaya aur bekar ni jata balke zindage ka kise mushkil marhala pe ya parhai he ap ka kam atee ha.Yahe sochte hui ka ana wale wakto mein halat kesa hun mein na apna mustakbil  ka lya kise ache field ka taun krna ka faisla kya.Is ka lya man bap aur dost se mashwara kya jinho ne mujhe mukhtalif fields ka nam batai jis mein MA ka muwake majood the. Ise mein se aik field Mass com ke the. Is field ka mutalik mein na soch bechar aur mashware ke baad in nataij pe puhanche:
Sb se pehle bat jo mere damag mein zera gor ai woh ye ka mass com kis se munslik field ha aur aya mera interest is field mein paida hoga bhe ya nahe.Puch guch ka bad ye bat samne ai ka ye media se related field ha aur ya bhat waseh field ha jis ka baad ap sahafat, akhbarat aur mukhtalif news channel se ba asani munsalik ho sakte han.
Jahan tak mera shook ka taluk tha mujhe fashion designing,filmi logon se news parhna wali kahsi pasand the. Shohrat ke bulandyon tak puhanchna mera passion tha.
Doosri bat jo  smana ai woh is ka Pakistan mein scope.To ye baat sb jante han ka aj kal pure dunya mein media ka dor dora ha.Pakistan mein har dosra teesra din aik naya news channel khul jata ha.Be tahasha channels is wakt Tv pe ate han jin mein na sirf khalistan urdu channels han balka har zaban mein channels arahe hota hain.Khabaro ka alag channels khel ka alag aur dramo ka alag.In ka elawa mukhtalif kisam ke akhbarat us mein mukhtalif tabsare ya insan ko kitna shuhrat  ke bulandi tak puhanchata han.
Ab raha sawal nokri au paisa ka to is field mein bhat paisa ha aur jesa meina tazkra kya ka ai din naie naie news channel aur akhbarat manzare am pe arahe han is se ya bat to zahir ha ke nokri bhe khoob mojood han.Paisa to in logon ko apna kam ka munasbit se khoob milta han .

Phir ye baat zera goor ai ka aya alami mandi mein is ka kya scope ha aur agar mujhe mulk se bhar jana ka muwake mla to aya ye field mere kitna sath da ge.To mukhtalif mumalik mein bhe bhat se Tv channels nashar aur akhbarat shaya ho rahe han.Khabro ko mirch masala laga e btana har channel aur akbar walo ka maksad ha.
Mera zatee khayal ha ke mera apna mind philosophical mind ha mein har baat ko mukhtalif zavaya se sochtee  hun.Har baat ke gharai tak puhanchna mera shook ha.Mera andar janch partal karna key a kesa huwa ku huwa kisna kya kab kya jane ke adat ha aur aise he loog aj kal media ka log han.Ya loog muashra ko tankeed ka nishana bnate han aur is mahool mein paida huna wale burai ka har pehloo ko manzare aam pe late han aur mein bhe yahe sochte ka in buraiyo ko kesa khatam kya jai to Mass com ke taleem mera lya aik haseen zariya tha.Tv channel ya akhbarat se munsalik hona ka is shook na aur muashra ke burai ka khatama karne ke justojoo ne mujhe mass com lana ke taraf rageb kya.
Aik aur bat jo Pakistan mein bhat aham ha who tulokat han.Is se mera Pakistan aur alam ka azeem hastyon se mera direct wasta parta aur aik aur baat ya ka mujhe khaboron ko puhanchane ka lya mukhtalif mumalik mein bheja jata.Syahat ka shook hona ke waja se mujhe mukhtalif mumalik se khabar jama karna ka sath sath ghumna ka muwake bhe miljainge.
In he hakaik ke bunyaad pa meina masscom laina ka faisla kya.Aur mehnat ka jo shook jo mera rag rag mein sarayat karta ha use mein ya chahate hun ke jin makasid ke bunyad pe meina masscom lya who hasool hojain.
Akhir mein is baat ke zarorat the ka apna maksid ka hasool ka lya aik ache university ka intekhab karna.To mera pas Karachi University aur Jinnah university ka options tha.Taleem agar sahe tarah hasil ke jai to uni se koi farak ni parta.Meina Jinnah University ka intekhab kya, jis ka masscom ke khasi value ha aur Karachi ke ache universities mein is ka shumar hota ha.























  

No comments:

Post a Comment