Saturday, September 14, 2013

i love my pakistan 

we r pakistani. iwant my pakistan going to dovlment. hum log so ku rhe hai? khuda ne humy bhot c namto se nawasa hai. jese atam bom pher b hum muslim counters ko .nhi bacha sakte
EVENT OF M.A FINAL

jinnah university for women main shobae ablage ama k M.A sale akher ki student  ne ECHOES OF EPOCHS k nam se ak event organized kia Students ne bhot ache andaz main do mukhtalif year 2008 and 2010 k fashion ko wase kia as selsele main students ne jewellery, Begs, Shoes, clothe k installs lage. In install ko dekh kar lag rha tha k jese jese dnia age bahr rhe hai hunhara fasion b age bar rha hai.
      Jab fasion ki bat ki jae to wahn fashion designer  ka hona zarori hai as leya  Students ki mhnat ki hosla afzai k leya mhmane khasosi  Farah Jahnzab ,Ash Ishrat, Nazia Malik ,Pari Hushim  ko mado kia gaya tha. In mhman k ane se mhfil ki shan main asafa hogaya .mhmane gasosi k chero se zahir tha k unhe ya event zati tor pe bhot pasnd aya.
As evevt main mujhy har chez kafi pasnd ae per ak bat khan chao ge k kahni b ya nahi likha daya tha k ya fashion show kis year k fashion ko sahir kar rha hai or as ka maksad kia hai ya sab puchne pe malom howa k as event main kia hia.
Nice and good event . as event main ak bat jo mujhy bhot aci lage k as main organizer student ka Bihvear  sab k sat acha tha.




Wednesday, November 24, 2010

EVENT OF BS FINAL YEAR
COLOURS OF PAKISTAN
Hamaree uni mein bhat se events har saal munakad hota han aur har baar media se wabasta mukhtalif shakhsyat hamare in events mein mehmanekhasoose ke tor pe bulai jatee han.In mukhtalif events mein kabil e zikar jo events munakad hota han un mein mukhtalif saminar jin mein media ya kse aur field se wabasta shakhsyat takreer karka talba ko muktalif malomat faraham kartee ha,is ke elawa cultural shows,students week mukhtalif kisam ke mela,eid milan parties kabila zikar han.
Inhe sab events mein mah e September mein BS final year ka aik event Pakistani sakafat pe munakad kya gaya jin ke organizers BS ke talabaat theen.Media ke aham aur maroof shakhsyat ne is mein hisa lya aur talabaat ke kabil e deed mehnat ko saraha.In mashoor shaksyat mein SHAKIL SADDIQI,TABINDA LARII ,ANELA SHELA ke elawa aur bhe media ke logon ne shirkat ke.
Is event ka silsala mein khasoosi tor pe shamyane lagae gae aur ranga rang takreebat ke inekad ka lya khoob sajaya gaya.BS ke talbaat ne is cultural event ke kamyabee ka lya bharpoor tyari aur anthak mehnat mein koi kasar na choree.Is event ka timings 10 se 3 bje tak ka tha.Media ke members ke amad wakt ke mutabik shuru hui.Is sekaftee event mein BS ke talabat ne 4 sobon ke sakafat ke model tyar karke rakha the jo Sindh Punjab Balochistan aur Pakhtoon Khuwan ke rehan sehan ,dressings ke ain aina dar the aur unho ne bharpoor  tareke se models ko paish kya.In sab ke bech mein aik model modern Pakistan ka bhe tyar kya gaya jo is baat ko wazeh karaha tha ke Pakistan in future kesa hoga.Ya model Pakistan ke past, present aur future ka muwazna karaha tha.Bhat se media ka logon ne isa bhat saraha aur bhat se uni ke larkyon ko jinhe dawat e aam the, ye model un ka tawajo ka markaz bna raha.
Media ke logon ke elawa Vice Chancellor bhe is event ka visit ka lya tashreef lai unhon ne larkyon ke mehnat ko bhat saraha aur un ke mehnat pe daad de aur un ko future mein bhe aisa events ka ahtamam karna ke hadayat di.Aur sath mein ye orders be jare kya ke jo bhe lagoo hona wale peca han woh university ke funds se dya jain.
Akhir mein refreshments ka intezam bhe kya gaya .Khane pena ka mukhtalif items rakhe gai.Visitors kafee mutasir thay is event se.
Mein is baat ke nishandahe karna chatee hun ka in events ka inekaad lazmi ha ise talbaat ke hunar aur creativity ka andaza hota ha aur jis shoba se who wabasta ho us ke maloomat mein izawafa hota ha jab woh aise models tyar karta ha aur un ke bunyaad pe research work karta ha.Is mein BS final year ke teachers ka bhe aham roll ha jo students ko aise kam assign kartee han take unke salahayatoon mein bharpoor izafa ho.Personally jab mein ne is ka visit kya to is art work, creativity se mein bhe bhat mutasir hui.

Thursday, November 18, 2010

LETTER


Yun to har zamane mein kuch aise hastyan aur shaksyat moujood  han jo us zamane ko apna tor tareko se apna kirdar aur apni personality se badal dalte han aur logo pe itna gehra asar chortee han ke woh un ke ideal ban jate han  aur log unke nakshe kadam pe chalna shuru ho jate han.
Ise tarah mujhe bhe aik personality ne bhat inspire kya aur mein unke adaat ,chal chalan se be had mehzooz hui..Unke kirdar aur adat ne na sirf mujhe balke puree university ko unka girveeda bna rakha ha.
Unke personality mein kya kashish ha, kya khubsortee ha , ku log un ke taraf khencha jaten un sab baton ke bunyad un mein mojood maknateese aur jadooi qualities han jo un ko sb se munfarid kartee han.Mein ne kai bar un ke takreer sunee lehja,pronounciation , baat karna ka andaz sb se munfarid.Un ke zaban ke talafuz ke baat ke jai to angreeze aur urdu dono he ke talafuz mein ap koi galtee ni nikal sakte.Zban mein aise takat ke har insan jo kuch woh bolte han, kehta han tasleem karna par majboor ho jata ha.Kise ke majal ni kai ke koi un ke baaton ko galat sabit karske aur yahee unke baroob shaksyat ke zamanat ha.
Mene un ke personality pe ka research ke jise mujhe ye baat numayan hui ke who khasey asar o rasookh wale shakhsiyat han.Is baat ka andaza mujhe us wakt hota ha jab media ke baray baray directors aur aham rukan hamaree university ka visit kartay han.Mukhtalif saminar, cultural shows har jaga koi na koi media se wabasta shakhsiyat mojood hotee han.Aur ye sab is baat ka nateeja ha ke un ke baray level pe taulukat han.Aur ye taulukat kese banay ye un ke 70 sala zindagee ka nachoor han.Is zindagee mein woh media ke mukhtalif channels se wabasta rahe aur umar ke is hisa mein unho ne is university mein kam karna ko tarjeeh di take young generation ko bhe is ubhatay hui shoba mein age bharnay ka moka mla.
Mein ab unka salook aur rawaya bil khasoos university ke larkyon ke sath ke mutalik batana chahatee hun.Zban mein un ke behad methas ,aik Impressive andaz mein baat karna,kisee larkee se wabasta koi mushkelat us ka az khud notice lena aur larkyon ka koi event ho us ke organization mein aur us ke ahtamam mein jo kuch ho sakta ha puree apnee power ka istemal karta han.Jis se baat wazeh hotee ha ke woh apnee responsibilities ko khoob enjoy kartay han.
Unke azwajee aur ghareelo zindagee ke mutalik mein ne khatar khuwa koi research ni ke albata ye baat wazeh ha ke who bhat alaa character ke malik han jis ke jhalak na sirf unka chal chalan aur zban mein nazar ata ha balke un ke seerat aur islam ke taraf jhukao is baat ka aina daar ha.Un ke takreer mein ne sunee ha who har baat islam ke rooh se bolta han.Is ke elawa woh panctual han uni ke timings ke mutabik un ke garee ate ha aur exact 3 bje har kam nimta ke who ghar jatay han khane ka lya aur 4 bje evening shift ka lya wapas ata han.Dressing aisee lajawab ke mein behed impressed hun.Mukhtalif colours ke pant coat mein who malboos rehta han. Akhir mein mein is baat ke nishandahe karna chahtee hun ke unke personalty baise izat ehtaram ke ha.Jo koi un se milta ha be had impress ho kar jata ha.Mazak karna ke adat sb ko behad lobhatee ha.Aik hans mukh insan han woh dukh dard mein shareek hona walay aur staff ke sath be had impressive.Agar ap ko mouka mla ap bhe zaroor unsa milaya ga takay ap mera khyalat se mutafik hun aur un ke personality se mehzooz hon.